अंतर्मन

शायरी करना तो शायरों का काम है , हम तो बस यूंही अरमां बयां करते हैं !!

Astitva

Aaj ka din
Main Tanha ,
Sochta hoon !
Main kya hoon?
Mera astitve kya hai?
Jeise sagar me ek lahar ka,
Jeise garmi me ek badar ka,
Jeise brmhand me nagar ka,
Jeise Kitab me ek akshar ka,
Weise hi me,
apne main gum
Sochta hoon
main kaun hoon?
Dhool ka kad,
Fool ka praagad,
Chhton me bada,
Badon me Chhota.
Yahi sochkar apne
Astitva ki khoj me
Main sarthak prayas ko apna hathiyar banakar
Sochta hoon
Is astitva ke sansar me,
Mere astitva ka astitva hai !!


- Shail
2000 - 2001