अंतर्मन

शायरी करना तो शायरों का काम है , हम तो बस यूंही अरमां बयां करते हैं !!

DAARU CHALISA

Jab Kabhi Ham char yaar , Bas yoonhi mil jayenge.
Botal Khole, Murg Manaye, aor Mehfilen sajaynge.

Chahe reason ho na ho, kuchh eisee hi shamon ka,
bas tayyari kar tapak se, ham sab milkar baith jayenge.

Hoga shuru silsila tab, sabka pag banane ka,
Chahe piye ya na piye koi daru, gilas to milke takrayenge.

Jai Baba ki bol ke jab ham pahla sip lagayenge,
Aage aage dekhiye ab keise rang dikhayenge.

Jeise jeise badhe suroor, ham sab milkar gayenge.
English in aor english out me funde bahut pilayenge.

Eise hi mahaul me jab botal khali ho jati hai.
Lagta hai abhi chadhi nahi, ham aor bhi lene jayenge.

Dheere dheere jab jawan ho raat, tab masti badhti jati hai.
Tab ham milkar, gane sunkar, jor jor se chillayenge.

Ham sab baithe hain yaar mil aor daaru hampar chadhati hai,
Tab sab saare ek ke baad ek, apni story sunayenge.

'tu apna bhai hai' kahke sabhi dilasa dete hain,
Sab ke gam me sab mil roye aor khushi me machayenge.

Gar paas hai lati daru to door bhi kar sakti hai.
Koi na bichhde yoonhi hamse, ab yahi dua manayenge.

Kuchh apni kahe kuchh sabki sune, eise hi party chalti hai.
Haste gate khate peete ham sari raat bitayenge.

Yahi hai hamari Daaru chalisa , ham sab milkar isko, jor jor se gayenge !!!

- Shail
Jan - 2010